Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_535f562448d3c2bf5f48c1a236a11bdc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha - Amber Joshi Poetry In English - Darsaal

Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha

gham-e-ulfat mein Dube the ubharna bhi zaruri tha

hamein rah-e-mohabbat se guzarna bhi zaruri tha

haqiqat samne aai bahut hairat hui mujh ko

tere chehre se parde ka utarna bhi zaruri tha

hamein manzil ko pana tha tabhi to rah-e-hasti mein

hamein pathrile raston se guzarna bhi zaruri tha

luTate hi rahe jo kuchh bhi apne pas tha yaro

ki KHushbu ki tarah apna bikharna bhi zaruri tha

hamein wo bhul baiThe hain unhen phir yaad kya karna

unhen rah-e-mohabbat mein bisarna bhi zaruri tha

hamari zindagi mein hadse hote rahe 'ambar'

unhen sahte hue apna nikharna bhi zaruri tha

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha In English By Famous Poet Amber Joshi. Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha is written by Amber Joshi. Read famous Poem Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha for youth and Student by Amber Joshi. Free Download Gham-e-ulfat Mein Dube The Ubharna Bhi Zaruri Tha in PDF.