Jangal
ek ajib sa jangal hai is shahr ke bich ug aaya
ghana muhib aur gahra jis ki KHub ghaneri chhaya
yun lagta hai jaise mere bhitar ka ek saya
ek din pahle kahin nahin tha aisa sabz andhera
unchi shaKHon ki parton ka gumbad jaisa ghera
dekhun phir hairan rahun is shahr mein aisa Dera
kanTon wale zahar bhare bal khate shaKHche aage
pichhe haTte jaen raste jangal jaise bhage
jis bhi ruKH par panw dharun us dil mein Dar sa jage
mere pair ke niche se ek shaKH nai ug aae
tum tak jata har ek rasta aise rukta jae
kyun kar mujh ko milne den phir KHauf ke bojhal sae
(717) Peoples Rate This