Intisab
shikayat na karna
agar ye zamana pukare tumhein
aur sada meri aawaz ki gunj ho
shikayat na karna
agar log muD muD ke dekhen tumhein
aur har shakl mein meri muskan tum ko
dikhai bhi de aur sunai bhi de
shikayat na karna
agar har zaban par
tumhaare bajae mera nam ho
tumhein meri aankhon ki tarif karte hue
sochna chahiye tha
yahan sans lete hue KHwab
har aankh ke KHwab jaise nahin hain
yahan KHwab aankhon se bah jaen to
ashk bante nahin hain
pighalte nahin hain
tumhein mere hathon ki narmi ko mahsus karte hue
bhulna to nahin chahiye tha
ki ek hath mein ek KHali waraq
dusre mein qalam hai
shikayat na karna
agar KHushnuma raushnai mein pahle waraq par
tumhein log paDh len
(767) Peoples Rate This