Dastaras
ubharti hai mere mathe ki silwaT mein
shikan dhage ke khinchne ki
udheDe ja rahi hun
main bhi din-bhar se
mujhe jab yaad aata hai
ki main kitna ulajhti thi
meri nani har ek kapDe ko
chahe wo naya hi kyun na ho
ek bar kam se kam
na jab tak apne hathon se udheDen
aur si len
tab talak un ko sukun aata na tha
main aksar sochti thi
naqs kya hota hai aaKHir
har nae joDe ke silne mein
bhala dhage ke pichhe chhup ke aaKHir
kaun se aise masail hain
jinhen main phir udheDe ja rahi hun
aur apne hath se phir se silai kar ke
apne taur apne Dhab se
is kapDe mein
kaise rang bharti ja rahi hun
is tarah kuchh pal safar to
meri apni zat ke hamrah tai paya
mujhe us pal mein KHud mein
meri man nani meri dadi
har ek chehra nazar aaya
(797) Peoples Rate This