Hum Sitaron Mein Tera Aks Na Dhalne Denge
hum sitaron mein tera aks na Dhalne denge
chand ko sham ki dahliz pe jalne denge
aaj chhu lenge koi arsh mere wahm-o-guman
KHwab ko nind ki aankhon mein machalne denge
hum bhi dekhenge kahan tak hai rasai apni
dil ko bahlaenge hum aur na sambhalne denge
shab ki aaghosh mein phailen na guman ke sae
ab nigahon mein koi KHauf na palne denge
ho na jae kahin anjam se pahle anjam
is kahani ko isi taur se chalne denge
aks-dar-aks milenge tujhe manzar manzar
tu jo chahe bhi kahan tujh ko badalne denge
naqsh-dar-naqsh hue jaenge bas KHak yahin
KHud ko is dasht-e-guman se na nikalne denge
(811) Peoples Rate This