Asir-e-KHwab Nai Justuju Ke Dar Kholen
asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen
hawa pe hath rakhen aur apne par kholen
sameTe apne sarabon mein barishon ka jamal
kahan ka qasd hai ye raaz KHush-nazar kholen
use bhulane ki phir se karen nai sazish
chalo ki aaj koi nama-e-digar kholen
ulajhti jati hain girhen adhure lafzon ki
hum apni baaton ke sare agar magar kholen
jo KHwab dekhna tabir khojna ho kabhi
to pahle raat ke lipTe hue bhanwar kholen
ek inT samne diwar se nikalen ab
chalo ki phir se naya koi dard-e-sar kholen
(965) Peoples Rate This