Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe
zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe
ek gharaunda ret ka tha jis ko ghar karte rahe
hum ko bhi malum tha anjam kya hoga magar
shahr-e-kufa ki taraf hum bhi safar karte rahe
uD gae sare parinde mausamon ki chah mein
intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe
yun to hum bhi kaun sa zinda rahe is shahr mein
zinda hone ki adakari magar karte rahe
aankh rah takti rahi dil us ko samjhata raha
apna apna kaam donon umr-bhar karte rahe
ek nahin ka KHauf tha so hum ne puchha hi nahin
yaad kya hum ko bhi wo diwar-o-dar karte rahe
(1595) Peoples Rate This