Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota
sitara-bar ban jae nazar aisa nahin hota
har ek ummid bar aae magar aisa nahin hota
mohabbat aur qurbani mein hi tamir muzmar hai
dar-o-diwar se ban jae ghar aisa nahin hota
sabhi ke hath mein misl-e-sifal-e-nam nahin rahna
jo mil jae wahi ho kuza-gar aisa nahin hota
kaha jalta hua ghar dekh kar ahl-e-tamasha ne
dhuan aise nahin uThta sharar aisa nahin hota
kisi ki mehrban dastak ne zinda kar diya mujh ko
main patthar ho gai hoti agar aisa nahin hota
kisi jazbe ki shiddat munhasir takmil par bhi thi
na paya ho to khone ka bhi Dar aisa nahin hota
(1077) Peoples Rate This