Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam
mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam
so apna shauq-e-safar bhi nahin ghubar se kam
tere firaq mein dil ka ajib aalam hai
na kuchh KHumar se baDh kar na kuchh KHumar se kam
hansi-KHushi ki rafaqat kisi se kya chahen
yahan to milta nahin koi gham-gusar se kam
wo muntazir hai yaqinan hawa-e-sarsar ka
jo habs ho na saka baad-e-nau-bahaar se kam
bulandiyon ke safar mein qadam zamin pe rahen
ye taKHt-o-taj bhi hote nahin hain dar se kam
ajib rangon se mujh ko sanwar deti hai
ki wo nigah-e-sataish nahin singhaar se kam
meri ana hi sada darmiyan rahi hael
wagarna kuchh bhi nahin mere iKHtiyar se kam
wo jang jis mein muqabil rahe zamir mera
mujhe wo jit bhi 'amabar' na hogi haar se kam
(945) Peoples Rate This