KHushi Ka Lamha Ret Tha So Hath Se Nikal Gaya
KHushi ka lamha ret tha so hath se nikal gaya
wo chaudhwin ka chand tha andheri shab mein Dhal gaya
hai wasf us ke pas ye badal sake har ek shai
so mujh ko bhi badal diya aur aap bhi badal gaya
machal raha tha dil bahut so dil ki baat man li
samajh raha hai na-samajh ki daw us ka chal gaya
ye dauD bhi ajib si hai faisla ajib-tar
ki fateh-e-hayat wo jo gir ke phir sambhal gaya
samajh liya aham nahin main us ke waste magar
nazar phir us se mil gai ye dil ki phir bahal gaya
ajib mera aks tha utar ke us ki aankh mein
sanwara mujh ko is tarah ki aaina hi jal gaya
(1677) Peoples Rate This