Ho Gai Baat Purani Phir Bhi
ho gai baat purani phir bhi
yaad hai mujh ko zabani phir bhi
mauja-e-gham ne to dam toD diya
rah gaya aankh mein pani phir bhi
main ne socha bhi nahin tha is ko
ho gai sham suhani phir bhi
chashm-e-nam ne use jate dekha
dil ne ye baat na mani phir bhi
log arzan hue jate hain yahan
baDhti jati hai girani phir bhi
burida lae ho darbar mein tum
yaad hai shoala-bayani phir bhi
bhul jote hain musafir rasta
log kahte hain kahani phir bhi
(1114) Peoples Rate This