Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_760c54daa474fd3162a97bfa93a4f6a8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai - Ambareen Haseeb Ambar Poetry In English - Darsaal

Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai

ab asiri ki ye tadbir hui jati hai

ek KHushbu meri zanjir hui jati hai

ek hasin KHwab ki aankhon se nikalta hi nahin

ek wahshat hai ki tabir hui jati hai

us ki poshak nigahon ka ajab hai ye fusun

KHush-bayani meri taswir hui jati hai

ab wo didar mayassar hai na qurbat na suKHan

ek judai hai jo taqdir hui jati hai

un ko ashaar na samjhen kahin duniya wale

ye to hasrat hai jo tahrir hui jati hai

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Ab Asiri Ki Ye Tadbir Hui Jati Hai in PDF.