Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota
jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota
har ek rahi se manzil dur ho aisa nahin hota
talluq TuTne ka gham kabhi hum se bhi puchho tum
tumhaara zaKHm hi nasur ho aisa nahin hota
gawahon ko to bik jaane ki majburi rahi hogi
hamein bhi faisla manzur ho aisa nahin hota
mohabbat jurm hai to phir saza bhi ek jaisi ho
koi ruswa koi mashhur ho aisa nahin hota
kitabon ki hain ye baaten kitabon hi mein rahne do
koi muflis kabhi masrur ho aisa nahin hota
koi misra agar dil mein utar jae ghanimat hai
taghazzul se ghazal bharpur ho aisa nahin hota
kabhi pita hai 'amabar' zindagi ke gham bhulane ko
wo har shab hi nashe mein chur ho aisa nahin hota
(1110) Peoples Rate This