Imbisat-e-azli
unchi nichi dub par lahraata hua kala nag
jhil ke banhon se phuTta hua jwalamukhi
rang-birange panchhi ko panjon mein dabae hue baz
chaTTanon ke pichhe murda jaanwar ki saf-o-shaffaf ThiThuri par
bhagte hue siyah chuhon ki qatar
chandni raat mein machhli par jhapaTta hua ud-bilaw
patinge ko pakaDne ke liye lapakti hui chhipkili
surmai sham ke malgaje aakash par chaDhti hui aandhi
ye sare manazir maha-nagar ke ek kamre mein
wideo par dekh raha hun
aur
ahd-e-hajar ke apne buzurgon ke fitri KHauf-o-tajassus se bhare hue
imbisat ko apni ragon se
sargoshiyan karte hue pa raha hun
(962) Peoples Rate This