Ek Riyazat Ye Bhi
wahi dariya kinare
roz apni bans ki bansi liye baiTha hua wo shaKHs
kitni be-niyazi se
har ek lamhe ko apni KHush-dili se dad deta hai
ki jis ke ru-e-raushan par qanaat morchhal jhalti hui moti luTati hai
sahar-ta-sham lahron se wo apni baat kahta hai
hawaon ki madhur sargoshiyon par khilkhilata hai
parindon ke suhane chahchahon par jhum uThta hai
kisi aawaz ki aahaT pe kajri gungunata hai
magar us ki nazar Dori ki har jumbish pe rahti hai
koi machhli phansi to is ke sine mein
kai rangon ki subhen dafatan marpash hoti hain
magar aisa bhi hota hai
kisi din hath KHali apne ghar wo lauT jata hai
kai masum aankhen jab sawali ban ke uThti hain
wahi manus si ek muskurahaT is ke chehre ki
kisi nannhi si machhli ki tarah ek jast leti hai
shikasta jhonpaDe mein ek bijli kaund jati hai
(808) Peoples Rate This