Dhanak
ek kutta jhaDiyon mein la-waris nau-maulud bachche ki hifazat kar raha tha
ek man apne nanhe bachche ke gal par kajal ka Tika laga rahi thi
ek masum bachche ki ungli pakaD kar ek buDha aur na-bina shaKHs
saDak par kar raha tha
ramish-o-rang mein Dubi hui baraat mein handiyon ko apne saron par
mazdur uThae hue the
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha
dahi biloti hui mushfiq man ke honTon se shahd mein gundhe hue
kajri ke bol phuT rahe the
sarkanDa hath mein liye hue nang-dhaDang charwaha birha ki tan laga raha tha
suraj ki narm kirnon ke jhaale mein dariya kinare
sohni bartan manjh rahi thi
punam ke hinDole par charKHa katti hui dadi man ko bachche DhunD rahe the
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha
faza ke soup mein dhup ko pachhorti hui hawa
mere khaprail mein amrit unDel gai thi
gehun ki hari baaliyon rai ke ujle bhulon sarson ki nili chunriyon
aur alsi ki nili oDhniyon ko dekh kar
mere abba ki buDhi aankhon se jugnu girne lage the
nau-maulud bachhDe ke jism ko chaTti hui gae pahlu mein ghas liye khaDi hui
meri aman ko kanakhiyon se dekh rahi thi
meri baji apne hisse ka basi dal bhat bhuki billi ko khila rahi thi
meri aankhon mein aansu the aur palan-haar
tu mujhe yaad aa raha tha
(1384) Peoples Rate This