Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha
wo lamha mujh ko shashdar kar gaya tha
mere andar bhi lawa bhar gaya tha
hai donon samt virani ka aalam
isi raste se wo lashkar gaya tha
guzari thi bhanwar mein us ne lekin
wo manjhi sahilon se Dar gaya tha
qalandar mutmain tha jhonpaDe mein
abas us ke liye mahzar gaya tha
na jaane kaisi aahaT thi faza mein
wo din Dhalte hi apne ghar gaya tha
abhi tak baam-o-dar hain phul jaise
mere ghar bhi wo KHush-manzar gaya tha
sitare ba-adab Thahre hue the
KHala mein ek KHush-paikar gaya tha
idhar aankhon mein meri dhul Thahri
udhar shabnam se manzar bhar gaya tha
magar tishna-labi Thahri muqaddar
nadi ke pas bhi 'amabar' gaya tha
(800) Peoples Rate This