Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai
shab KHwab ke jaziron mein hans kar guzar gai
aankhon mein waqt-e-subh magar dhul bhar gai
pichhli ruton mein sare shajar barwar to the
ab ke har ek shaKH magar be-samar gai
hum bhi baDhe the wadi-e-izhaar mein magar
lahje ke intishaar se aawaz mar gai
tujh phul ke hisar mein ek lutf hai ajab
chhu kar jise hawa-e-tarab-e-motabar gai
dil mein ajab sa tir taraazu hai in dinon
han ai nigah-e-naz bata tu kidhar gai
maqsad sala-e-am hai phir ehtiyat kyun
be-rang rauzanon se jo KHushbu guzar gai
us ke dayar mein kai mahtab bhej kar
wadi-e-dil mein ek amawas Thahar gai
ab ke qafas se dur rahi mausami hawa
aazad taeron ke paron ko katar gai
aandhi ne sirf mujh ko musaKHKHar nahin kiya
ek dasht-e-be-dili bhi mere nam kar gai
phir chaar-su kasif dhuen phailne lage
phir shahr ki nigah tere qasr par gai
alfaz ke tilism se 'amabar' ko hai shaghaf
us ki hayat kaise bhala be-hunar gai
(829) Peoples Rate This