Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte
jagmagati raushni ke par kya tha dekhte
dhul ka tufan andhere bo raha tha dekhte
sabz Tahni par magan thi faKHta gati hui
ek shakra pas hi baiTha hua tha dekhte
hum andhere Tapuon mein zindagi karte rahe
chandni ke des mein kya ho raha tha dekhte
jaan dene ka hunar har shaKHs ko aata nahin
sohni ke hath mein kachcha ghaDa tha dekhte
zehn mein basti rahi har bar huhi ki kali
bair ke jangal se hum ko kya mila tha dekhte
aam ke peDon ke sare phal sunahre ho gae
is baras bhi rasta kyun ro raha tha dekhte
us ke honTon ke tabassum pe the sab chaunke hue
us ki aankhon ka samundar kya hua tha dekhte
raat ujle pairahan wale the KHwabon mein magan
dudhiya punam ko kis ne Das liya tha dekhte
bich mein dhundle manazir the agarche saf-ba-saf
phir bhi 'amabar' hashiya to hans raha tha dekhte
(636) Peoples Rate This