Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue
har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue
aur hum kajal ki ek tahrir mein Dube hue
chandni ke shahr mein hamrah tha wo bhi magar
dur tak KHamoshiyon ke saz the bajte hue
hans raha tha wo hari rut ki suhani chhanw mein
dafatan har ek shajar ke pairahan maile hue
aaj ek masum bachchi ki zaban khinchi gai
meri basti mein andhere aur bhi gahre hue
har gali mein thin siyah parchhaiyon ki yurishen
shab kai gunge malak har chhat pe the baiThe hue
sab adaen waqt ki wo jaanta hai is liye
TaT ke niche sunahra taj hai rakkhe hue
soup ke dane kabutar chug raha tha aur wo
sehn ko mahka rahi thi sunnaten paDhte hue
raat 'amabar' kahkashan se dub ye kahne lagi
chhanw mein meri hazaron chand hain soe hue
(919) Peoples Rate This