Har Lamha Sairabi Ki Arzani Hai
har lamha sairabi ki arzani hai
miTTi ke kuze mein ThanDa pani hai
chupke chupke rota hai tanhai mein
wo jo shahr ke har mele ka bani hai
nadi kinare shahr panahen baalon ki
sawan ki bauchhaaren hain tughyani hai
bahar dhup samundar surKH bagule bhi
andar har KHuliye mein rut barfani hai
us ne har zarre ko tilism-abaad kiya
hath hamare lagi faqat hairani hai
mere dasht ko shayad us ne dekh liya
dhup shabnami har-su manzar dhani hai
jaane kya barsa tha raat charaghon se
bhor samay suraj bhi pani pani hai
us ne har lamha KHud ko yun ram kiya
har paikar mein us ki ram-kahani hai
kachcha ghar aata hai yaad bahut 'amabar'
kahne ko shahron mein har aasani hai
(806) Peoples Rate This