Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun
gili miTTi hath mein le kar baiTha hun
zehn mein ek dhundle paikar se uljha hun
pis raha hai dil ko ek wazni patthar
dub ko banhon mein bhar kar main hansta hun
tere hathon ne mujh mein sab rang bhare
lekin har pal ye ehsas adhura hun
dhup kabhi chamkegi is ummid pe main
barf ke dariya mein sadiyon se leTa hun
is jaanib kab ude baadal ne dekha
phir bhi main tanha sarsabz jazira hun
mera karb meri tanhai ki zinat
main chehron ke jangal ka sannaTa hun
ek dhundli taswir abhi aaankhon mein hai
is wadi se dur bhala kab rahta hun
raat ufuq par kuchh saye lahrae the
'amabar' ab tak aas lagae baiTha hun
(863) Peoples Rate This