Gardish Ka Ek Lamha Yun Bebak Hua
gardish ka ek lamha yun bebak hua
sone chandi ka har manzar KHak hua
nahr kinare ek samundar pyasa hai
Dhalte hue suraj ka sina chaak hua
ek shaffaf tabiat wala sahrai
shahr mein rah kar kis darja chaalak hua
shab ujli dastaren kya sar-garm huin
bhor samay sara manzar namnak hua
wo to ujalon jaisa tha us ki KHatir
aane wala har lamha saffak hua
KHal-o-KHad manzar paikar aur gul buTe
KHub hue mere hathon mein chaak hua
ek talab ki lahron se laDte laDte
wo bhi kale dariya ka pairak hua
mausam ne karwaT li kya aandhi aai
ab ke to kohsar KHas-o-KHashak hua
baatin ki sari lahren thin joban par
us ke aariz ka til bhi bebak hua
chand suhane manzar kuchh kaDwi yaaden
aaKHir 'amabar' ka bhi qissa pak hua
(715) Peoples Rate This