Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a7f8ac852506233c498838c6aed98d60, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha - Ambar Bahraichi Poetry In English - Darsaal

Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha

burida bazuon mein wo parind lala-bar tha

shikariyon ke ghol mein ajib intishaar tha

hare phalon ko toDti hui hawa guzar gai

bujhi bujhi faza mein har daraKHt sogwar tha

safar ka aaKHiri paDaw aa gaya tha aur main

jo ham-safar bichhaD rahe the un pe ashk-bar tha

gae the hum bhi bahr ki tahon mein jhumte hue

har ek sip ke labon mein sirf regzar tha

dhuli dhuli faza mein ho gai abas wo justuju

ki manzar-e-nazar-nawaz to pas-e-ghubar tha

dam-e-sahar na jaane jaane kaun aa gaya use

rawan the ashk ankhDiyon se hath mein sitar tha

jo waqt aa gaya tamam tir TuTte gae

usi nai kaman pe to mujhe bhi e'tibar tha

baras rahi thi aag is dayar-e-sang mein magar

mere lahu mein gul-fishan wo champai azar tha

ajib thi sarisht bhi hamare dhan pan ki

kabhi to bahr-e-be-karan kabhi sarab-zar tha

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Burida Bazuon Mein Wo Parind Lala-bar Tha in PDF.