Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3239789618f2e7763699fa7c5609285d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya - Ambar Bahraichi Poetry In English - Darsaal

Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya

aaj phir dhup ki shiddat ne baDa kaam kiya

hum ne is dasht ko lamhon mein kanwal-fam kiya

mere hujre ko bhi tashhir mili us ke sabab

aur aandhi ne bhi is bar bahut nam kiya

roz hum jalti hui ret pe chalte hi na the

hum ne sae mein khajuron ke bhi aaram kiya

dil ki banhon mein sajate rahe aahon ki dhanak

zehn ko hum ne rah-e-ishq mein gum-nam kiya

shahr mein rah ke ye jangal ki ada bhul gae

hum ne in shoKH ghazalon ko abas ram kiya

apne pairon mein bhi bijli ki adaen thin magar

dekh kar tur-e-jahan KHud ko subuk-gam kiya

shah-rahon pe hamin to nahin maslub hue

qatl-e-mahtab ne KHud ko bhi lab-e-baam kiya

jaane kya soch ke phir in ko rihai de di

hum ne ab ke bhi parindon ko tah-e-dam kiya

KHatm ho gi ye kaDi dhup bhi 'amabar' dekho

ek kohsar ko mausam ne gul-andam kiya

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Aaj Phir Dhup Ki Shiddat Ne BaDa Kaam Kiya in PDF.