Rawan Dawan Nahin Yan Ashk Chashm-e-tar Ki Tarah
rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah
girah mein rakhte hain hum aabru guhar ki tarah
suni sifat kisi KHush-chashm ki jo mardum se
KHayal dauD gaya aankh par nazar ki tarah
chhupi na KHalq-e-KHuda se haqiqat-e-KHat-e-shauq
uDa jahan mein kabutar mera KHabar ki tarah
siwae yar na dekha kuchh aur aalam mein
sama gaya wo meri aankh mein nazar ki tarah
adam ki rah mein khaTka raha jahannam ka
safar ne dil ko jalaya mere saqar ki tarah
khule jo sab to bandha tar miThi baaton ka
shakar girah mein wo rakhte hain neshkar ki tarah
wo andalib hun shahpar jo mera mil jae
chaDhaen sar pe salatin huma ke par ki tarah
zakat de zar-e-gul ki bahaar mein gulchin
chaman mein phul luTa ashrafi ke zar ki tarah
giri hai chhuT ke jo zanu pe sham ko afshan
sitare yar ke daman mein hain sahar ki tarah
mushaire ka 'amanat' hai kis ko hijr mein hosh
kahan ke sher kahan ki ghazal kidhar ki tarah
(1080) Peoples Rate This