Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_80d6215056022894f138275352810641, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin - Amanat Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin

mai nahin yar nahin shisha nahin jam nahin

kab mujhe yaad ruKH o zulf-e-siyah-fam nahin

koi shaghl is ke siwa subh se ta sham nahin

har suKHan par mujhe deta hai wo bad-KHu dushnam

kaun si baat meri qabil-e-inam nahin

nek-nami mein dila firqa-e-ushshaq hain ishq

hai wo badnam mohabbat mein jo badnam nahin

chehra-e-yar ke saude mein kaha karta hun

ruKH hai ye subh nahin zulf hai ye sham nahin

bosa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole

dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin

halqa-e-zulf-e-butan mein hai bhari nikhat-e-gul

ai dil is lam mein bu-e-gul-e-islam nahin

ibtida ishq ki hai dekh 'amanat' hushyar

ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-e-ayyam Nahin in PDF.