KHana-e-zanjir Ka Paband Rahta Hun Sada
KHana-e-zanjir ka paband rahta hun sada
ghar abas ho puchhte mujh KHanaman-barbaad ka
ishq-e-qadd-e-yar mein kya na-tawani ka hai zor
ghash mujhe aaya jo saya paD gaya shamshad ka
KHud-faramoshi tumhaari ghair ke kaam aa gai
yaad rakhiyega zara bhule se kahna yaad ka
KHat likha karte hain ab wo yak qalam mujh ko shikast
pech se dil toDte hain aashiq-e-nashad ka
ishq-e-pechan ka chaman mein jal phaila dekh kar
bulbulon ko sarw par dhoka hua sayyaad ka
qamat-e-jaanan se karta hai akaD kar ham-sari
hausla dekhe to koi sarw-e-be-buniyaad ka
be-zabani mein 'amanat' ki wo hain gul-reziyan
natiqa ho band ai dil bulbul-e-nashad ka
(825) Peoples Rate This