Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti
hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti
poshak jo pahne hai mera yar basanti
kya fasl-e-bahaari ne shagufe hain khilae
mashuq hain phirte sar-e-bazar basanti
genda hai khila bagh mein maidan mein sarson
sahra wo basanti hai ye gulzar basanti
us rashk-e-masiha ka jo ho jae ishaara
aankhon se bane nargis-e-bimar basanti
gendon ke daraKHton mein numayan nahin gende
har shaKH ke sar par hai ye dastar basanti
munh zard dupaTTe ke na aanchal se chhupao
ho jae na rang-e-gul-e-ruKHsar basanti
khilti hai mere shoKH pe har rang ki poshak
udi, agari, champai, gulnar, basanti
hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat'
do chaar gulabi hon to do chaar basanti
(932) Peoples Rate This