Gir PaDe Dant Hue Mu-e-sar Ai Yar Safed
gir paDe dant hue mu-e-sar ai yar safed
kyun na ho KHauf-e-ajal se ye siyahkar safed
do qadam fart-e-nazakat se nahin chal sakta
rang ho jata hai us ka dam-e-raftar safed
us masiha ki jo aankhen huin gulzar mein surKH
ho gai KHauf se bas nargis-e-bimar safed
gul-e-nasrin ko nahin josh chaman mein bulbul
hai nazakat ke sabab chehra-e-gulzar safed
ghar mere shab ko jo wo rashk-e-qamar aa nikla
ho gae partaw-e-ruKH se dar o diwar safed
lab o dandan ke tasawwur mein jo roya main kabhi
ashk do-chaar bahe surKH to do-chaar safed
hui sarsabz jo sohbat mein 'amanat' ki ghazal
rang dushman ka hua rashk se ek bar safed
(773) Peoples Rate This