InT Diwar Se Jab Koi Khisak Jati Hai
inT diwar se jab koi khisak jati hai
dhup kuchh aur mere sar pe chamak jati hai
kitne darwaze mujhe band nazar aate hain
aankh jab uTh ke sar-e-baam-e-falak jati hai
mujh se is baat pe naraaz hain arbab-e-KHirad
baat aai hui honTon pe aTak jati hai
mutmain ho ke kabhi sans na len ahl-e-chaman
aag sinon mein hawa pa ke bhaDak jati hai
jaane kya baat hai ab rah-e-wafa mein akasr
zindagi apne hi sae se ThiThuk jati hai
ek hamin aabla-pai se gila-mand nahin
dosto gardish-e-haalat bhi thak jati hai
ab andhera kabhi raste mein nahin aaega
ab nazar hadd-e-nazar se pare tak jati hai
mere hathon mein wo saghar hai chhalakne wala
ta-ba diwar-e-haram jis ki khanak jati hai
aaj us paikar-e-rangin se mila hun 'parwaz'
jis ke daman se faza sari mahak jati hai
(679) Peoples Rate This