Qaumi Tarana
ai mere hindostan jannat-nishan
bah rahi hain tere sine par wo shital naddiyan
khelta hai jin ki lahron par sururon ka jahan
jhumta hai jin sururon mein shabab-e-jawedan
pasbani jin ki karta hai himala sa jawan
ai mere hindostan jannat-nishan
tere baghon ki lahak se jhankti hai zindagi
zindagi wo maut ko bhi jis se ho sharmindagi
jis se hasil ho harim-e-ruh ko tabindagi
KHuld-zaron ka hai tere gulsitanon par guman
ai mere hindostan jannat-nishan
tere parbat sim-o-zar ka gungunata aabshaar
tere chashme barbat-e-nahid ka zarrin tar
tere jangal KHuld ke sapne ki sundar si bahaar
mast jhonkon ki zaban par madh bhari mausiqiyan
ai mere hindostan jannat-nishan
teri mastana hawaon mein jawani zau-fagan
zarre zarre se numayan tur ka sa bankpan
muskuraati hai fazaon mein nashili si phaban
teri wadi mein surur-o-kaif ki nahren rawan
ai mere hindostan jannat-nishan
baam-e-azadi ke KHush-anjam zine ke liye
teri ulfat ke nashile jam pine ke liye
yani teri god mein aazad jine ke liye
bijliyan ban kar girenge ghair par hum na-gahan
ai mere hindostan jannat-nishan
(952) Peoples Rate This