Nashat-e-umid
ai meri ummid meri jaan-nawaz
ai meri dil-soz meri karsaz
meri sipar aur mere dil ki panah
dard-o-musibat mein meri takiya-gah
aish mein aur ranj main meri shafiq
koh mein aur dasht mein meri rafiq
kaTne wali gham-e-ayyam ki
thamne wali dil-e-nakaam ki
dil pa paDa aan ke jab koi dukh
tere dilase se mila hum ko sukh
tu ne na chhoDa kabhi ghurbat mein sath
tu ne uThaya na kabhi sar se hath
ji ko ho kabhi agar usrat ka ranj
khol diye tu nai qanaat ke ganj
tujh se hai mohtaj ka dil be-hiras
tujh se hai bimar ko jine ki aas
KHatir-e-ranjur ka darman hai tu
aashiq-e-mahjur ka iman hai tu
nuh ki kashti ka sahaara thi tu
chah mein yusuf ki dil-ara thi tu
ram ke ham-rah chaDhi ran mein tu
panDaw ke bhi sath phiri ban mein tu
tu ne sada qais ka bahlaya dil
tham liya jab kabhi ghabraya dil
ho gaya farhad ka qissa tamam
par tere fiqron pe raha KHush mudam
tu ne hi ranjhe ki ye bandhwai aas
hir thi furqat mein bhi goya ki pas
hoti hai tu pusht pe himmat ki jab
mushkilen aasan nazar aati hain sab
hath mein jab aa ke liya tu ne hat
sat samundar se guzarna hai baat
sath mila jis ko tera do qadam
kahta hai wo ye hai arab aur ajam
ghoDe ki li apne jahan tu ne bag
samne hai tere gaya aur prag
azm ko jab deti hai tu mel jast
gumbad-e-gardun nazar aata hai past
tu ne diya aa ke ubhaara jahan
samjhe ki muTThi mein hai sara jahan
zarre ko KHurshid mein de khapa
bande ko allah se de tu mila
donon jahan ki hai bandhi tujh se laD
din ki tu asl hai duniya ki jaD
nekiyon ki tujh se hai qaem asas
tu na ho to jaen na neki ke pas
din ki tujh bin kahin pursish na ho
tu na ho to haq ki parastish na ho
KHushk tha bin tere daraKHt-e-amal
tu ne lagae hain ye sab phul phal
dil ko lubhati hai kabhi ban ke hur
gah dikhati hai sharab-e-tuhur
nam hai sidra kabhi tuba tera
roz nirala hai tamasha tera
kausar o tasnim hai ya salsabil
jalwe hain sab tere ye be-qal-o-qil
rup hain har panth mein tere alag
hai kahin firdaus kahin hai sowarg
chhuT gae sare qarib aur baid
ek na chhuTi to na chhuTi umid
tere hi dam se kaTe jo din the saKHt
tere hi sadqe se mila taj-o-taKHt
KHakiyon ki tujh se hai himmat buland
tu na ho to kaam hon duniya ke band
tujh se hi aabaad hai kaun-o-makan
tu na ho to hai bhi barham jahan
koi paDta phirta hai bahr-e-maash
hai koi iksir ko karta talash
ek tamanna mein hai aulad ki
ek ko dil-dar ki hai lau lagi
ek ko hai dhan jo kuchh hath aae
dhum se aulad ki shadi rachae
ek ko kuchh aaj agar mil gaya
kal ki hai ye fikr ki khaenge kya
qaum ki bahbud ka bhuka hai ek
jin mein ho un ke liye anjam-e-nek
ek ko hai tishnagi-e-qurb-e-haq
jis ne kiya dil se jigar tak hai shaq
jo hai gharaz us ki nai justuju
lakh agar dil hain to lakh aarzu
tujh se hain dil sab ke magar bagh bagh
gul koi hone nahin pata charagh
sab ye samajhte hain ki pai murad
kahti hai jab tu ki ab aai murad
wada tera rast ho ya ho darogh
tu ne diye hain use kya kya farogh
wade wafa karti hai go chand tu
rakhti hai har ek ko KHursand tu
bhati hai sab ko teri lait-o-lal
tu ne kahan sikhi hai ye aaj kal
talKH ko tu chahe to shirin kare
bazm-e-aza ko tarab-agin kare
aane na de ranj ko muflis ke pas
rakhe ghani us ko rahe jis ke pas
yas ka pati hai jo tu kuchh lagaw
saikDon karti hai utar aur chaDhao
aane nahin deti dilon par hiras
TuTne deti nahin talib ki aas
jin ko mayassar na ho kamli phaTi
KHush hain tawaqqoa pe wo zar-baft ki
chaTni se roTi ka hai jin ki banaw
baiThe pakate hain KHayali polaw
panw mein juti nahin par hai ye zauq
ghoDa jo sabza ho to nila ho tauq
faiz ke khole hain jahan tu ne bab
dekhte hain jhonpaDe mahlon ke KHwab
tere karishme hain ghazab dil-fareb
dil mein nahin chhoDte sabr-o-shakeb
tujh se muhawwis ne jo shura liya
phunk diya kan mein kya jaane kya
dil se bhulaya zan o farzand ko
lag gaya ghun naKHl-e-baromand ko
khane se pine se hua sard ji
aisi kuchh iksir ki hai lau lagi
din ki hai fikr na duniya se kaam
dhun hai yahi raat din aur subh sham
dhonkni hai baiTh ke jab dhonkna
shah ko samajhta hai ek adna gada
paise ko jab taw pe deta hai taw
puchhta yaron se hai sone ka bhaw
kahta hai jab hanste hain sab dekh kar
rah gai ek aanch ki baqi kasar
hai isi dhund mein wo aasuda-haal
tu ne diya aql pe parda sa Dal
tol kar gar dekhiye us ki KHushi
koi KHushi is ko na pahunche kabhi
phirte hain mohtaj kai tira-baKHt
jan ke pairon mein tha kabhi taj-o-taKHt
aaj jo bartan hain to kal ghar karo
malti hai mushkil se inhen nan-e-jau
taire siwa KHak nahin in ke pas
sari KHudai mein hai le de ke aas
phule samate nahin is aas par
sahib-e-alam unhen kahiye agar
khate hain is aas pa qasmen ajib
jhuTe ko ho taKHt na ya-rab nasib
hota hai naumidiyon ka jab hujum
aati hai hasrat ki ghaTa jhum jhum
lagti hai himmat ki kamar TuTne
hausla ka lagta hai ji chhuTne
hoti hai be-sabri o taqat mein jang
arsa-e-alam nazar aata hai tang
ji mein ye aata hai ki sam khaiye
phaD ke ya kapDe nikal jaiye
baiThne lagta hai dil aawe ki tarah
yas Daraati hai chhalawe ki tarah
hota hai shikwa kabhi taqdir ka
uDta hai KHaka kabhi tadbir ka
Thanti hai gardun se laDai kabhi
hoti hai qismat ki hansai kabhi
jata hai qabu se aaKHir dil nikal
karta hai in mushkilon ko tu hi hal
kan mein pahunchi teri aahaT jo hain
raKHt-e-safar yas nai bandha wahin
sath gai yas ke pazhmurdagi
ho gai kafur sab afsurdagi
tujh mein chhupa rahat-e-jaan ka hai bhed
chhoDiyo 'haali' ka na sath ai umid
(1756) Peoples Rate This