Medical Test
do mulazim ek kala aur gora dusra
dusra paidal magar pahla sawar-e-rah-war
the ciwil-surgeon ki koThi ki taraf donon rawan
kyunki bimari ki ruKHsat ke the donon KHwast-gar
rah mein donon ke baham ho gai kuchh hasht-masht
kokh mein kale ki ek mukka diya gore ne mar
sadma pahuncha jis se tilli ko bahut miskin ki
aa ke ghoDe se liya sais ne us ko utar
Thok kar kale ko gore ne to apni rah li
choT ke sadme se ghash kale ko aaya chand-bar
aaKHirash koThi pe pahunche ja ke donon pesh-o-pas
zarib apne panw aur mazrub Doli mein sawar
doctor ne aa ke donon ki suni jab sarguzisht
tah ko ja pahuncha suKHan ki sun ke qissa ek-bar
di sanad gore ko likh kar jis mein thi tasdiq-e-marz
aur ye likkha tha masail hain bahut zar-o-nizar
yani ek kala na jis gore ke mukke se mare
kar nahin sakta hukumat hind par wo zinhaar
aur kaha kale se tum ko mil nahin sakti sanad
kyunki tum malum hote ho ba-zahir jaan-dar
ek kala piT ke jo gore se fauran mar na jae
aae baba us ki bimari ka kyunkar e'tibar
(1276) Peoples Rate This