Marsiya-e-dehli-e-marhum
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
dastan gul ki KHizan mein na suna ai bulbul
hanste hanste hamein zalim na rulana hargiz
DhunDhta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gana hargiz
sohbaten agli musawwar hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz
le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khanDaron mein na jaana hargiz
chappa chappa pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-KHak
dafn hoga na kahin itna KHazana hargiz
miT gae tere miTane ke nishan bhi ab to
ai falak is se zyaada na miTana hargiz
wo to bhule the hamein hum bhi unhen bhul gae
aisa badla hai na badlega zamana hargiz
jis ko zaKHmon se hawadis ke achhuta samjhen
nazar aata nahin ek aisa gharana hargiz
hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charKH
hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz
aaKHiri daur mein bhi tujh ko qasam hai saqi
bhar ke ek jam na pyason ko pilana hargiz
baKHt soe hain bahut jag ke ai daur-e-zaman
na abhi nind ke maton ko jagana hargiz
kabhi ai ilm-o-hunar ghar tha tumhaara dilli
hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz
'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq'
ab dikhaega na shaklon ko zamana hargiz
'momin' o 'alwi' o 'sahbai' o 'mamnun' ke baad
sher ka nam na lega koi dana hargiz
'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz
raat aaKHir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz
bazm-e-matam to nahin bazm-e-suKHan hai 'haali'
yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz
(1896) Peoples Rate This