Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a3e91c629cf26dfc1f700b12308aa092, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai - Altaf Hussain Hali Poetry In English - Darsaal

Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai

wasl ka us ke dil-e-zar tamannai hai

na mulaqat hai jis se na shanasai hai

qata ummid ne dil kar diye yaksu sad shukr

shakl muddat mein ye allah ne dikhlai hai

quwwat-e-dast-e-KHudai hai shakebai mein

waqt jab aa ke paDa hai yahi kaam aai hai

Dar nahin ghair ka jo kuchh hai so apna Dar hai

hum ne jab khai hai apne hi se zak khai hai

nashe mein chur na hon jhanjh mein maKHmur na hon

pand ye pir-e-KHarabaat ne farmai hai

nazar aati nahin ab dil mein tamanna koi

baad muddat ke tamanna meri bar aai hai

baat sachchi kahi aur ungliyan uTThin sab ki

sach mein 'haali' koi ruswai si ruswai hai

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Wasl Ka Uske Dil-e-zar Tamannai Hai in PDF.