Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka
ranj aur ranj bhi tanhai ka
waqt pahuncha meri ruswai ka
umr shayad na kare aaj wafa
kaTna hai shab-e-tanhai ka
tum ne kyun wasl mein pahlu badla
kis ko dawa hai shakebai ka
ek din rah pe ja pahunche hum
shauq tha baadiya-paimai ka
us se nadan hi ban kar miliye
kuchh ijara nahin danai ka
sat pardon mein nahin Thaharti aankh
hausla kya hai tamashai ka
darmiyan pa-e-nazar hai jab tak
hum ko dawa nahin binai ka
kuchh to hai qadr tamashai ki
hai jo ye shauq KHud-arai ka
us ko chhoDa to hai lekin ai dil
mujh ko Dar hai teri KHud-rai ka
bazm-e-dushman mein na ji se utra
puchhna kya teri zebai ka
yahi anjam tha ai fasl-e-KHizan
gul o bulbul ki shanasai ka
madad ai jazba-e-taufiq ki yan
ho chuka kaam tawanai ka
mohtasib uzr bahut hain lekin
izn hum ko nahin goyai ka
honge 'haali' se bahut aawara
ghar abhi dur hai ruswai ka
(889) Peoples Rate This