Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin
main to main ghair ko marne se ab inkar nahin
ek qayamat hai tere hath mein talwar nahin
kuchh pata manzil-e-maqsud ka paya hum ne
jab ye jaana ki hamein taqat-e-raftar nahin
chashm-e-bad-dur bahut phirte hain aghyar ke sath
ghairat-e-ishq se ab tak wo KHabar-dar nahin
ho chuka naz uThane mein hai go kaam tamam
lillahil-hamd ki baham koi takrar nahin
muddaton rashk ne aghyar se milne na diya
dil ne aaKHir ye diya hukm ki kuchh aar nahin
asl maqsud ka har chiz mein milta hai pata
warna hum aur kisi shai ke talabgar nahin
baat jo dil mein chhupate nahin banti 'haali'
saKHt mushkil hai ki wo qabil-e-izhaar nahin
(940) Peoples Rate This