KHubiyan Apne Mein Go Be-intiha Pate Hain Hum
KHubiyan apne mein go be-intiha pate hain hum
par har ek KHubi mein dagh ek aib ka pate hain hum
KHauf ka koi nishan zahir nahin afaal mein
go ki dil mein muttasil KHauf-e-KHuda pate hain hum
karte hain taat to kuchh KHwahan numaish ke nahin
par gunah chhup chhup ke karne mein maza pate hain hum
dida o dil ko KHayanat se nahin rakh sakte baz
garche dast-o-pa ko aksar be-KHata pate hain hum
dil mein dard-e-ishq ne muddat se kar rakkha hai ghar
par use aaluda-e-hirs-o-hawa pate hain hum
ho ke nadim jurm se phir jurm karte hain wahi
jurm se go aap ko nadim sada pate hain hum
hain fida un doston par jin mein ho sidq o safa
par bahut kam aap mein sidq o safa pate hain hum
go kisi ko aap se hone nahin dete KHafa
ek jahan se aap ko lekin KHafa pate hain hum
jaante apne siwa sab ko hain be-mehr o wafa
apne mein gar shamma-e-mehr-o-wafa pate hain hum
buKHl se mansub karte hain zamane ko sada
gar kabhi taufiq-e-isar o ata pate hain hum
ho agar maqsad mein nakaami to kar sakte hain sabr
dard-e-KHud-kaami ko lekin be-dawa pate hain hum
Thaharte jate hain jitne chashm-e-alam mein bhale
haal nafs-e-dun ka utna hi bura pate hain hum
jis qadar jhuk jhuk ke milte hain buzurg o KHurd se
kibr o naz utna hi apne mein siwa pate hain hum
go bhalai karke ham-jinson se KHush hota hai ji
tah-nashin us mein magar durd-e-riya pate hain hum
hai rida-e-nek-nami dosh par apne magar
dagh ruswai ke kuchh zer-e-rida pate hain hum
rah ke talib hain par be-rah paDte hain qadam
dekhiye kya DhunDhte hain aur kya pate hain hum
nur ke hum ne gale dekhe hain ai 'haali' magar
rang kuchh teri alapon mein naya pate hain hum
(962) Peoples Rate This