Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai
kabk o qumri mein hai jhagDa ki chaman kis ka hai
kal bata degi KHizan ye ki watan kis ka hai
faisla gardish-e-dauran ne kiya hai sau bar
marw kis ka hai badaKHshan o KHutan kis ka hai
dam se yusuf ke jab aabaad tha yaqub ka ghar
charKH kahta tha ki ye bait-e-hazan kis ka hai
mutmain is se musalman na masihi na yahud
dost kya jaaniye ye charKH-e-kuhan kis ka hai
waiz ek aib se tu pak hai ya zat-e-KHuda
warna be-aib zamane mein chalan kis ka hai
aaj kuchh aur dinon se hai siwa istighraq
azm-e-tasKHir phir ai sheKH-e-zaman kis ka hai
aankh paDti hai har ek ahl-e-nazar ki tum par
tum mein rup ai gul o nasrin o saman kis ka hai
ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri
rasta ab dekhiye donon mein kaThin kis ka hai
shan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki
walwala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis ka hai
hain fasahat mein masal waiz o 'haali' donon
dekhna ye hai ki be-lag suKHan kis ka hai
(899) Peoples Rate This