Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_95438276d4285c5ebee758d5e7ca410c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Junun Kar-farma Hua Chahta Hai - Altaf Hussain Hali Poetry In English - Darsaal

Junun Kar-farma Hua Chahta Hai

junun kar-farma hua chahta hai

qadam dasht paima hua chahta hai

dam-e-girya kis ka tasawwur hai dil mein

ki ashk ashk dariya hua chahta hai

KHat aane lage shikwa-amez un ke

milap un se goya hua chahta hai

bahut kaam lene the jis dil se hum ko

wo sarf-e-tamanna hua chahta hai

abhi lene pae nahin dam jahan mein

ajal ka taqaza hua chahta hai

mujhe kal ke wade pe karte hain ruKHsat

koi wada pura hua chahta hai

fuzun tar hai kuchh in dinon zauq-e-asyan

dar-e-rahmat ab wa hua chahta hai

qalaq gar yahi hai to raaz-e-nihani

koi din mein ruswa hua chahta hai

wafa shart-e-ulfat hai lekin kahan tak

dil apna bhi tujh sa hua chahta hai

bahut haz uThata hai dil tujh se mil kar

qalaq dekhiye kya hua chahta hai

gham-e-rashk ko talKH samjhe the hamdam

so wo bhi gawara hua chahta hai

bahut chain se din guzarte hain 'haali'

koi fitna barpa hua chahta hai

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Kar-farma Hua Chahta Hai In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Junun Kar-farma Hua Chahta Hai is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Junun Kar-farma Hua Chahta Hai for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Junun Kar-farma Hua Chahta Hai in PDF.