Hai Justuju Ki KHub Se Hai KHub-tar Kahan
hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
hain daur-e-jam-e-awwal-e-shab mein KHudi se dur
hoti hai aaj dekhiye hum ko sahar kahan
ya rab is iKHtilat ka anjam ho ba-KHair
tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan
ek umr chahiye ki gawara ho nish-e-ishq
rakkhi hai aaj lazzat-e-zaKHm-e-jigar kahan
bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
KHat ka mere jawab hai ai nama-bar kahan
kaun o makan se hai dil-e-wahshi kinara-gir
is KHanuman-KHarab ne DhunDa hai ghar kahan
hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se lakh sahi tu magar kahan
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zaban mein asar kahan
'haali' nashat-e-naghma-o-mai DhunDhte ho ab
aae ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan
(1822) Peoples Rate This