Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut
go jawani mein thi kaj-rai bahut
par jawani hum ko yaad aai bahut
zer-e-burqa tu ne kya dikhla diya
jama hain har su tamashai bahut
haT pe is ki aur pis jate hain dil
ras hai kuchh us ko KHud-rai bahut
sarw ya gul aankh mein jachte nahin
dil pe hai naqsh us ki ranai bahut
chur tha zaKHmon mein aur kahta tha dil
rahat is taklif mein pai bahut
aa rahi hai chah-e-yusuf se sada
dost yan thoDe hain aur bhai bahut
wasl ke ho ho ke saman rah gae
meinh na barsa aur ghaTa chhai bahut
jaan-nisari par wo bol uTThe meri
hain fidai kam tamashai bahut
hum ne har adna ko aala kar diya
KHaksari apni kaam aai bahut
kar diya chup waqeat-e-dahr ne
thi kabhi hum mein bhi goyai bahut
ghaT gain KHud talKHiyan ayyam ki
ya gai kuchh baDh shakebai bahut
hum na kahte the ki 'haali' chup raho
rast-goi mein hai ruswai bahut
(1554) Peoples Rate This