Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin
gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
shadi-e-wasl bhi aashiq ko saza-war nahin
KHub-rui ke liye zishti-e-KHu bhi hai zarur
sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin
qaul dene mein tammul na qasam se inkar
hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin
kal KHarabaat mein ek goshe se aati thi sada
dil mein sab kuchh hai magar ruKHsat-e-guftar nahin
haq hua kis se ada us ki wafadari ka
jis ke nazdik jafa bais-e-azar nahin
dekhte hain ki pahunchti hai wahan kaun si rah
kaba o dair se kuchh hum ko sarokar nahin
honge qail wo abhi matla-e-sani sun kar
jo tajalli mein ye kahte hain ki takrar nahin
(859) Peoples Rate This