Raat Subh-e-bahaar Hogi
muhib sayon mein pal raha hun
ki lakh ranj-o-alam mein mahsur ek jins-e-giran hai iqrar jis ka
aafat ka sabab hai
main kaise bhulun main bhul jaun kashmakash
main dhul aankhon mein jhonk Dalun
to raat subh-e-bahaar hogi
mera tasalsul mere muqaddar ke sath paiham rawan-dawan hai
zamin sae ko jhel legi main chal paDunga
jo bhed jebon par bojh bante hain
jo bhuli galiyan miTa ke ru-posh ho gai hai
wo chhup gai
wo chhup gai hai to pair miTTi safar ka anjam farz kar lo
jo aisa kar lo to subh chaTo zamin chaTo
mujhe na dekho ki main to nasl-e-qadim-sala se muntashir hun
main lafz DhunDun ki KHud ko tarik aaine mein utar lun dekhun toD Dalun
yunhi tasalsul ke sath qismat ka wasta hai jo aaina hai
main us ko toDun main us ko joDun ki jis ka iqrar to giran hai
(664) Peoples Rate This