Wo Masaf-e-zist Mein Har MoD Par Tanha Raha
wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha
phir bhi honTon par na us ke koi bhi shikwa raha
jo sada tishna-labon ke waste dariya raha
umr bhar wo KHud ba-nam-e-dostan pyasa raha
aql hairan hai junun bhi dam-ba-KHud hai soch kar
wo hujum-e-kushtagan mein kis tarah zinda raha
phulne phalne ka mauqa to kahan un ko mila
nim-jaan paudon pe jab tak aap ka saya raha
'alqama-shibli' hawa kaisi chali gulzar mein
aashiyan mein bhi parinda waqt ka sahma raha
(873) Peoples Rate This