Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main
dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main
aur duniya ye samajhti hai ki dariya hun main
tang sahra nazar aaya hai jo phaila hun main
ho gai hai meri taswir jo simTa hun main
justuju jis ki safinon ko rahi hai sadiyon
dosto mere wo be-nam jazira hun main
kis liye mujh pe hai ye sust-rawi ka ilzam
zindagi dekh le KHud tera sarapa hun main
aarzu mere qadam ki thi kabhi rahon ko
aaj lekin dil-e-imkan mein khaTakta hun main
paDh sako gar to khulen tum pe rumuz-e-hasti
waqt ke hath mein ek aisa sahifa hun main
anjuman hun main kabhi zat se apni 'shibli'
aur mahfil mein bhi rah kar kabhi tanha hun main
(850) Peoples Rate This