BhaTka Karunga Kab Tak Rahon Mein Teri Aa Kar
bhaTka karunga kab tak rahon mein teri aa kar
tujh ko bhula sukun main mere liye dua kar
kab tak ye teri hasrat kab tak ye meri wahshat
in sari bandishon se mujh ko kabhi riha kar
ek umr se tujhe main be-uzr pi raha hun
tu bhi to pyas meri ai jam pi liya kar
kal raat zindagi ye mujh se taDap ke boli
kuchh der ko to ho kar mera bhi tu raha kar
rishte kai sunahre is zindagi se pae
rakkha magar na hum ne un ko kabhi bacha kar
dil ke khanDar se panchhi yaadon ke ja na pae
dekha hai hum ne un ko kitni hi bar uDa kar
wo qurb ho ki duri sab KHwahishen adhuri
'alok' aa gae hain dariya mein hum baha kar
(641) Peoples Rate This