Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0e52f50s6gr9orpkg8tp17mhm0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai - Alok Mishra Poetry In English - Darsaal

Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai

jazb kuchh titliyon ke par mein hai

kaisi KHushbu si us color mein hai

aane wala hai koi sahra kya

gard hi gard rahguzar mein hai

jab se dekha hai KHwab mein us ko

dil musalsal kisi safar mein hai

chhu ke gaDi baghal se kya guzri

be-KHayali si ek nazar mein hai

main bhi bikhra hua hun apnon mein

wo bhi tanha sa apne ghar mein hai

raat tum yaad bhi nahin aae

phir udasi si kyun sahar mein hai

us ki KHamoshi gunjti hogi

shor barpa jo dil-khanDar mein hai

hath sar par wo shaKHen rakhti hain

koi apna sa us shajar mein hai

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai In English By Famous Poet Alok Mishra. Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai is written by Alok Mishra. Read famous Poem Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai for youth and Student by Alok Mishra. Free Download Jazb Kuchh Titliyon Ke Par Mein Hai in PDF.