Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut
jaane kis baat se dukha hai bahut
dil kai roz se KHafa hai bahut
sab sitare dilasa dete hain
chand raaton ko chiKHta hai bahut
phir wahi raat mujh mein Thahri hai
phir samaat mein shor sa hai bahut
tum zamane ki baat karte ho
mera mujh se bhi fasla hai bahut
us ki dukhti nasen na phaT jaen
dil musalsal ye sochta hai bahut
wasta kuchh zarur hai tum se
tum ko wo shaKHs puchhta hai bahut
tum se bichhDa to TuT jaega
us ki aankhon mein hausla hai bahut
chakh ke dekho ise kabhi tum bhi
is udasi mein zaiqa hai bahut
in ki sansen gini-chuni hain bas
KHun lamhon ka bah gaya hai bahut
dasht ko kar liya tha ghar main ne
ab mujhe ghar ye kaTta hai bahut
is se bahar nikal na paoge
dasht mazi ka ye ghana hai bahut
mera sukh dukh samajhti hain ghazlen
zindagi ko ye aasra hai bahut
(956) Peoples Rate This